Skip to main content

Really! Best Battery Backup ROM for Miatoll Devices - Hindi

Best Battery Backup ROM for Miatoll Devices

Hello dosto! aaj ke is post Best Battery Backup ROM for Miatoll Devices me, main aapko miatoll devices ke liye jo 5 really best battery backup custom ROM hai, uske bare me batane wala hoon, main aapko bata doon yaha par jitna bhi ROM's main aapke saath share karne wala hoon un sab ko personally maine khud test kar rakha hai, aur apne experience se kah raha hoon ki ye really best battery backup custom ROM hai miatoll devices ke liye.

Agar aapke pass miatoll devices hai, aur aap ek custom rom user hai, matlab aap bhi custom ROM use karne me interest rakhte hai, to aise me ye ROM's aapke liye hi hai, kyuki chahe aapko Gaming pasand ho ya na ho, chahe aap normal gaming kare ya hard ya na hi kare tab bhi battery backup to sab ko chahiye hota hai, isiliye maine ye deceide kiya ki aaj main aapko miatoll devices ke liye best battery backup custom ROM bataunga.

Aise main aapko bata doon, aur shayad ye baat aapko pata bhi hoga phir bhi main aapko bata de raha hoon, miatoll devices bolne se mera matlab hai: POCO M2 Pro, Redmi Note 9 Pro/Max/9s se, matlab yaha jo best battery backup custom rom main aapko batane wala hoon, wo inhi phones ke liye hai: POCO M2 Pro, Redmi Note 9 Pro/Max/9s.

Ek chij aur main aapko clear karte chalu ki yaha par main aapko sirf best battery backup custom rom hi nahi bataunga, balki uske saath us rom ke kuchh features or bugs bhi batate chalunga, kyuki kisi ROM ko aapne choose kar liya to usme kuchh basic features to hone chahiye n, aur saath me bugs bhi hai kya aur hai to kya hai, ye sab aapko pata hona chahiye, taki aap ye clearly ye decide kar sake ki aapko kon sa ROM use karna hai.

To chaliye aaj ke post Really! Best Battery Backup ROM for Miatoll Devices ko shuru karte hai aur sidhe un ROM's ko jante hai.



Best Battery Backup ROM for Miatoll Devices


1. Arrow OS Android 13 Miatoll:- To isme sabse pahla ROM hai Arrow OS Android 13, ye ek aisa ROM hai ki jab ye ROM aaya tha us time par agar koi banda mujhse puchha karta tha ki miatoll devices ke liye koi best custom ROM batao to main usko ye ROM suggest kiya karta tha, to isi baat se aap ye andaza laga sakte hai ki aakhir ye kitna tagda ROM raha hoga.

Abhi sabse pahle main aapko iska Battery Backup batata hoon, to dekho jab maine is ROM me phone ko cotinue ek ghante Normal use kiya tha to mujhe 11% Discharge dekhne ko mila tha, aur wahi jab maine is ROM me 1 ghante cotinue Gaming kiya tha to mujhe 17% ka discharge dekhne ko mila tha, matlab is anusar ek bar jab aap phone ko 100% tak charge kar lete hai to easily aap cotinue Normal use lagbhag 8.3 ya 9 hours tak kar payenge, aur Gameplay cotinue aap lagbhag 5.3 hours, aur combind use (jisme aap 2 hours gaming kar payenge aur baki normal use) aap lagbhag 7.3 hours ya 8 hours tak cotinue kar sakte hai.

Aise ek chij yaha par main aapko clear kar doon ki aajtak jitne bhi custom rom ka use maine miatoll devices ke liye kiya hai aur jyadatar maine android 13 ROM hi use kiya hai, to uske experience se main aapko bata raha hoon ki, miatoll devices ke liye lagbhag jyadatar ROM yahi battery backup deta tha, jaise niche maine aapko bataya hai.

"1ghante Normal use par 10%+ discharge, or 1 ghante tak regular Gaming karne par 20% - 24% aur isse bhi jyada ka discharge." Aise ye baat main aapko experience se bata raha hoon,

Baise ab main aapko is rom ke kuchh achhe se features aur bugs ki baat kar lete hai.

  • ROM bydefault safetynet ko pass karta hai
  • ROM certified hai
  • Unlimited Google Photos 
  • Google assistant woriking nahi hai, isiliye aap apne phone me google assistant on mat rakhiyega, nahi to phone/video/game aur sab kuchh atak atak kar chalta hai, to aise me phir se aapko usko band karna hi hoga, isiliye ye baat dhyan rakhiyega.

(ROM):- https://www.arrowos.net/download/miatoll

(Recovery):- https://us-dl.orangefox.download/6327989a3c05f43c193c0acb


2. Raven UI A12 Miatoll:- Raven UI Android 12 bhi ek tagda ROM hai, ye ek ported custom rom hai, jo MIUI se port kiya gaya hai par is port ne ek alag hi chhap chhoda hai, chaliye sabse pahle main aapko iska features batata hoon.

ROM by default safetynet ko pass nii karta hai, aur playstore se certified nahi hai, lekin aap chahe to isko certified aur safetynet pass karwa sakte hai. Aise is ROM me aapko double status bar bhi diya gaya hai, aise yaha par aapko status bar ke kai sare styles diye gaye hai aur har styles ko apply hone me kuchh time lagta hai. Aise yaha aapko Unlimited Gphotos diya gaya hai, gaming me 60 FPS support aur inbuilt MIUI camera diya gaya hai jo ki perfectly working hai, yaha par aapko miui 14 ke kuchh features bhi diye gaye hai.

Ab main aapko batata hoon iske battery backup ke bare me, to jab maine is ROM me 1 ghante cotinue normal use kiya tha to mere ko 11% ka discharge mila tha aur ek ghante cotinue gaming karne par 19% ka discharge, matlab is anusar agar aap apne phone ko ek bar 100% tak charge kar lete hai to normal use aap lagbhag 8.5 hours tak cotinue kar sakte hai, aur cotinue gaming lagbhag 5 hours aur combind use (jisme aap 2 ghante game aur baki normal use kar payenge) aap lagbhag 7 hours+ cotinue kar payenge.


(ROM):- https://droplink.co/Raven-Ui10 

(Recovery):- https://orangefox.download/release/6327989a3c05f43c193c0acb


3. Evolution X 7.6.2 Android 13 for Miatoll:- Agar yaha par main aapko miatoll ke best performance wala ROM bata raha hota to maine aapko evolution x 7.6.2 na batakar 7.6.1 batata, kyuki uska performance isse behtar tha, par jab hum baat battery backup ki karte hai to evolution x 7.6.2 hi acha rahta hai. 

Sabse pahle main aapko iska kuchh features batata hoon, to by default safetynet pass karna aur play store se certified, unlimited Gphotos, kabhi kabhi ekdam kabhi kabhi hamesha nii to kabhi kabhi lag dikhna ya lag na bole to atakna bol sakte hai, baki sab kuchh thik hai.

Ab batata hoon battery backup, to dekho jab maine isme 1 ghante continue normal use kiya tha to mujhe 9% ka discharge mila tha, aur jab maine 1 ghante continue gaming kara tha to mujhe 21% ka discharge aaya tha, matlab is anusar agar aap apne phone ko ek bar 100% tak charge kar lete hai to normal use continue aap 10 hours tak kar payenge, aur gaming aap continue 4.4 hours tak kar sakte hai, jaha tak baat hai combind use ki (jisme aap contine 2 ghante gameplay aur baki ka normal use) to wo aap 8 hours tak continue kar sakte hai.

(ROM):-  https://www.pling.com/p/1861181/

(Recovery):- https://us-dl.orangefox.download/6327989a3c05f43c193c0acb


4. Pixel Experience Plus Android 13 for Miatoll:- Pixel Experience Plus ye ek tagda ROM tha, isme smooth ek alag hi level ka tha ekdam makkhan, aise yaha par main Pixel experience plus Android 13 ka jo ROM tha uske second update ki baat kar raha hoon.

Sabse pahle kuchh features, to rom bydefault safetynet ko pass karta tha aur play store se certified tha, aur unlimited gphotos storage, is rom me aapko jyada customization dekhne ko nahi milega jyada kya lagbhag kuchh nii milega bas stock se thoda sa jyada, par haa performance ekdam tagda aur gaming me sirf 40 FPS support.

Chaliye ab baat karte hai battery bakup ki to dekhiye jab maine is rom me phone ko 100% tak charge kiya tha, to mujhe continue 1 hour normal use karne par 11% ka discharge mila tha, aur ek hour continue gameplay karne par 19% ka discharge, matlab agar aap is rom me phone ko ek bar 100% charge kar lete hai, to normal use aap 8.3 - 8.5 hours tak kar sakte hai aur gamplay aap regular 4.5 hours tak sakte hai, jaha tak baat hai combind use (2ghante gameplay aur baki ka normal, wo bhi continue) ki to wo aap comtinue 7.5 hours kar sakte hai.

(ROM):- https://download.pixelexperience.org/changelog/miatoll/PixelExperience_Plus_miatoll-13.0-20230108-0555-OFFICIAL.zip

(Recovery):- https://t.me/PositronKernel/77


5. Realme UI 4.0 Android 13 for Miatoll:-  Is ROM me aapko vendor alag se flash karna hoga jiska link maine niche diya hai, kyuki is rom me vendor inbuilt nahi hai wo aapko alag se flash karna hoga, to rom flashing ke turant baad aapko vendor falsh karna hai uske baad format data then reboot.

Chaliye baat karte hai iske features ki to ye ROM bydefault safetynet ko pass nahi karta hai aur play store se bhi certified nahi hai, aur na hi google photos me unlimited Gphotos diya gaya hai, kabhi kabhi lag dekhne ko milega, gaming me bhi thoda bahut lag mil sakta hai jab battery kam rahega, facelock me bug hai to facelock working nahi hai, aur phone ko jab aap charge me lagayenge to phone charge to lega lekin indicate nahi karge ki phone charge ho raha hai.

Chaliye baat karte hai battery backup ki to 1 ghante continue normal use karne par isme mujhe 10% ka discharge aaya tha aur continue gaming karne par 22% ka discharge aaya tha, matlab is anusar ek bar jab aap 100% tak apne phone ko charge kar lenge to continue  aap normal use lagbhag 9.5 hours tak kar payenge aur gaming aap continue 4.3 hours tak kar payenge, jaha tak baat hai combind use (2 ghante gameplay aur baki ka normal use, wo bhi continue) ki to wo aap continue 6 hours tak kar payenge.

Aise yaha par agar aap ye soch rahe hai ki main aakhir is ROM ka naam kyu bata rha hoon, jab isme 3-4 tadge bugs hai, to bhai isiliye kyuki ye realme se ported hai, matlab sab kuchh aapko realme ka dekhne ko milega, matlab aap apne xiaomi ke phone ke realme ka maja le payenge, aur ye bade saubhagya ki baat hai, saath hi me iska battery backup acha hai isiliye iska naam maine aapko bata hai.

ROM:- http://pling.com/p/1632561/

Recovery:- http://pling.com/p/1632561/

Vendor:- http://pling.com/p/1632561/

Chaliye to aaj ka hamara post: Really! Best Battery Backup ROM for Miatoll Devices complete hua, maine apne kahe anusar 5 best battery backup wale custom rom miatoll ke liye aapko bataya, aise aap chahe to in pancho ke bare me detail me janne ke liye ye video bhi dekh sakte hai.👇👇👇


Conclusion

To guy's aaj ke post: Best Battery Backup ROM for Miatoll Devices ko yahi par khatam karte hai, aur milte hai aise hi kisi tagdi post ke saath, tab tak ke liye aap is post ko share karna mat bhulna☺☺

Comments

Popular

Net Speed Booster

Net Speed Booster Download Notes: Internet Booster (root) is an app that helps you improve the speed of your Internet connection, as long as you have an Android device with root access. The process is very simple; all you need to do is check a couple boxes in the main interface. In the app's interface you can find all the necessary instructions to use the app, including some tips and warnings. However, it's important to remember that you can only benefit from this app if you have a 'rooted' device. If this is not your case, then this app is not for you. Internet Booster (root) is an app that might come in handy in certain cases, since it can double the speed of your Internet connection.